Wednesday, June 16, 2010

apni garima ko pahchano

'gujre un lamho ko yaad karke,
kaap uthti hai ruh tak.
ab to itihaas k panno ko,
palatne tak se dar lagta hai.'

kab tak soyoge tum manav,
ab to antarman me thoda jhako.
uth khade ho shaan se dekho ,
apni garima ko to pahchano.
kab tak nange badan ghumoge,
kab tak dard tum sahoge.....
aatma se shakti ko prapt karo
apna jeevan sarthak karo tum.
manav ho manavta se kya darna,
ab to sikho himmat se ladna.
shristi ki rachna me humne v
to paye hai do hath ,do paaw
har manav hai ek samaan
apni -apni shamta ko jano,
dridh nishchay kar lakshay bana lo.
safalta kitrishna ko jagao
manjil prapti ki raah bana lo.
raho se hai jo tumhe bhatkate ,
un rishto ko kyun na jhootlate.
apni garima ko pahchano
vishwa me apni jagah bana lo.
'hum me bhi hai dam kahin ,
hum bhi hai kisi se kam nahi'.
is wakay ko khoob dohrao
duniya se aage nikal jao.
antarman me thoda jhako,
apni garima khud pahchano.

2 comments: